Aadat to boht thi humein khud ki zindagi mein jhaankne ki; tamanna bhi kaafi thi usi mein madhosh hoke reh jaane ki.
Tune dheeme se aake ek alag hi nazaaraa dikha diya; madhoshi ki jarurat thi humein, tune uske bina hi jeena sikha diya.
Ab to har pal khud se pare duniya ki shaamein dekhta hun main; ugte suraj ko aadab, aur dhalte din ko salaam kehta hun main.
Par kuch to kami reh gayi tere dariya ke paani mein; madhoshi ki zarurat badhne si lagi fir se is saaki mein.
Ab to din ho ya shaam, subah ho ya raat; goonjati hai mere zehen mein ek chhoti si sirf yehi baat.
Fanaa ho jaun ya hun apni hi tabaahi se beparwaah; kya yeh madhoshi hi hai mere jeene ki wajah?